Lahroon Se Darr Kar.. Naauka Paar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki.. Haar Nahin Hoti
Nanhiin Chiitin Jab Daana Lekhar Chalti Hai
Chadhti Deewaroon Par Sau Baar Phisalti Hai
Mann Ka Vishwaas Ragoon Mein Saahas Barta Hai
Chadh Kar Girna.. Girkar Chadhna.. Naa Aakarta Hai
Aakhir Uski Mehnat.. Bekaar Nahin Hoti
Koshish Karne Walon Ki.. Haar Nahin Hoti
Dubkiyaan Sindhu Mein Goota Khoor Lagaata Hai
Jaa Jaa Kar Khaali Haath.. Laut Aata Hai
Milte Na Shaheej Ke Moti Paani Mein
Behta Doona Utsaah Isi Hairaani Mein
Muthi Uski Khaali.. Haar Baar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki.. Haar Nahin Hoti
Asafalta.. Ek Chunauti Hai.. Sweekaar Karoo
Kya Kami Rehgayi.. Dekho.. Aur Suthaar Karoo
Jabtak Nasafaal Ho.. Neend Chaain Ki Tyaago Tum
Sungharshoon Ka Maidaan.. Choodh Mat Bhaago Tum
Kucch Kiye Bina Hi.. Jay Jay Kar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki.. Haar Nahin Hoti
Saw the movie "Maine Gandhi Ko Nahin Maara" last night.
I found this poem very meaningful, so i thought of sharing it with all.
Do take your time to understand each and every word.
I hope this serves as an inspiration to all who are down or have lost hope.
Regards,
Kundan
Wednesday, December 07, 2005
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment